VINAAS

 

Chhaa gaya dhuan nabh me

Hui garjna ati bhari

Jalne lagi dishaye sab

Vikal huye sab nabhchari .

phail gaya vis sarvtra

sar sarita giri kanan me

phir likh gaya mahakal

vinaas ki lila pal bhar me.

So gaye shishu chir nidra me

Lipate huye kalage se maa ke

Dab gaye bahut se nar pashu deewaron me

Hai! Bacha lo kahta koi roke.

Manav jeevan hi pda aaj sankat me

Ye kaisa tumne avishkar kiya

Chheen liya shramiko ki roti

Sab ko praan bhayatur bana diya.

Phail raha jo atank aur bhay

Yah vrikshh tumhi ne ugaya hai

Bhadak rahi pratisodhagni sarvatra

Manav ne manav par ghaat lagaya hai.

Chhod sahara do vigyan vad ka

Laut chalo rishi yug ko

Tyag tapasya hai mantra vimal

Prapt karo tum sab sukh ko.

Yadi moh bhang na hua vigyanvad se

To nar saskriti bach na payegi

Aur prabal hogi vinas ki chhaya

Aane wali pidhi ko das jayegi.

Yadi bacha na jeevan nar pashuon ka

Ishwar tumhe kshama na kar payega

Bahutkathin hoga nar jeevan

Santap na manav ka kam ho payega.

Bahut vinasak hai ati vigyan vad ki

Yah satya ab ham sveekar Karen


Like it on Facebook, Tweet it or share this article on other bookmarking websites.

No comments