Aaj fir ek bar Astha har jaati hai [rote huye] “kyu aaj mai fir ek baar har gyi ,kya mai zindagi mai kbhi aage nhi bdh paungi, kya mere sapne adhure reh jayenge ,kya meri  umeede fir tut jayengi ’’ 

Astha apni zindagi me bahut preshan thi or akeli bhi thi ,jab hume jrurat hoti hai tab koi apna ya koi praya apne sath nhi hota aisa hi Astha ke sath bhi humesha hota tha. Astha ne apni spuri koshish kit hi pre medical exam clear krne ki lekin vo har gyi , Astha lgatar 2 bar fail hue. Vo andar se tut gyi thi,uski life me khalipan aa gya tha. Astha ke mom dad ne Astha ko smjhaya  [mom dad smjhate huye] “beta tuzse nhi hoga medical or ek sal eske piche brbaad mt kr ,tu kuch or kr le jo tuzse hoy a koi aasan kaam jo jhat se ho jaye ’’ but humari Astha haar manne walo me se nhi thi. Astha ko logo ka bahut sunna pda ,bahut se logo ne use advisae bhi di kuch or krne ki but usne kisi kin hi suni vo apne mn ki krti gyi. Astha ne apni mn ki esliye suni kyu use pta jo vo kr rhi hai vo glt nhi hai. Astha apne life me etni akeli ho gyi thi ki vo sab ko bhul gyi use apni zindagi me kisi jrurat nhi thi or vo chahti bhi yhi thi ki use kisi ki jrurat na ho. Astha ne raato ke andhere me, din ke ujale me kadi pdhai ki mano usne raat or din me koi antar nhi rkha vo bss apne spirit ,josh ke saath aage bdhti gyi bdhti gyi bdhti gyi.

Astha ke maa baap uske 3rd attempt ke khilaf jrur the lekin unhone bhi Astha ka thoda sa saath jrur diya tha. Dosto maa baap chahe hume jitna bhla bura keh le lekin kbhi bhi vo bchoo ka bura nhi sochte  Astha ke mom dad ne Astha ko kafi mehnat krte dekha tha or etni mehnat kr ke bhi Astha har gyi to unko aisa lga ki Astha ko manjil badal leni chahiye lekin dosto app apne raaste badlo manzil nhi.

Astha ne apni preparation puri ki or Astha exam dene gyi or aap manoge nhi Astha jab exam centre se bahar aayi to uske face pr alag hi chamak thi maano usne puri duniya jitli ho. Ek mhine baad Astha ka result aaya and what? She win this time or aisa vaisa win kiya Astha ne she became 1st in all over india. She grab her dream anyhow.

You can also grab your dream anyhow like Astha bss apke andar mehnat krne ki takad or khud pe bhrosa hona chahiye. Guys success needs sacrefise . or ek baat ye bhi hai ki agr aap kisi chij ko shidhaat se kro to kaynat bhi apko us chij se alag nhi kr skti family or samaj to dur ki baat hai phir chahe vo pre medical exam ho ya writing.

And always respect your mom dad.

Like it on Facebook, Tweet it or share this topic on other bookmarking websites.
No replies found for this topic.
You do not have permissions to reply to this topic.